GL Auto Show Lahore Entry Form, Sign up Today
Desi Totkay for Skin Whitening in Urdu

Aazmoda Desi Totkay for Skin Whitening in Urdu

Chehra saaf aur chamakdar bnana har kisi ki khwahish hoti hai. Lekin ajkal ke mausam aur pollution ke wja sy chehre ki jild kharab ho jati hai aur qudarti chamak kho jati hai. Iske alawa, chehre par pimples, dhabe, aur wrinkles bhi ho sakty hain jo aapke chehre ki khubsurti ko kam kar dety hain.

Agr ap bhi in sb mas’alon sy preshan hain aur chemical products ka istemal nhi krna chahty to ye information ap ke liye bohat mufeed sabit hoga. Is main, aaj hum tips in urdu ya desi totkay bata rahe hain jo aap ki skin ko saaf, chamakdar aur gore rang ka bana sakte hain. In main natural cheezen use ki gai hain jin ke as such koi side effects bhi nhi hain.

Desi Totkay for Skin Whitening in Urdu

Chandan Powder

Chandan Powder

Sandalwood ya chandan powder aik natural aur mufeed cheez hai jo aik lamby arsay skin ko bright krny wali remedies mein use hota hai. Ismein anti-inflammatory aur antioxidant properties hoti hain jo face skin ko saaf aur chamakdar banane mein madad karte hain. 

Is effective ubtan ko bnany ke liye zroori ajzaa:

  • 2 chammach chandan
  • 1-2 teaspoon yogurt 
  • 1 tbs basin
  • 2 tablespoon multani mitti
  • Arq-e-gulaab (Hasbe zaroorat)

In tmam ajzaa ko achy sy aik bowl mein mix kr lain aur rose water utna add kren k aik achi consistency ka paste ban jaye. Phr is ubtan ko apny chehre, gardan, aur hathon py lgayen aur 15-20 minutes tak wait kren. Phir thande paani se chehra dho lein aur moisturizer lgaen. 

Milk Aur Tomato Juice

Milk Aur Tomato Juice

Ye dono ajzaa dry skin ke liye khas tor pr faidemand hain. Isko bnany ke liye aik medium sized tmatar lain aur uska rass nikal lain. Phr equal quantity mein doodh add kr lain aur achy sy mix kr lain. Us ke bad aik soft brush ly kr is solution ko face aur neck pr achy sy lg lain. Taqreeban 20 minutes tak intazaar kren aur phr normal water sy chehra dho lain. 

Is mask ke faidy:

  • Milk mein lactic acid hota hai jo chehre ki skin ko saaf karne mein madad karta hai. Is ke elawa is mein anti-inflammatory properties hoti hain jo ki dhabe aur pimples, ko kam karty hain. 
  • Tomato juice mein vitamin C aur lycopene hota hai jo pigmentation ko khtm kr ke skin ko bright krtahai. 

In mask ko ap week mein 2-3 dfa use kr skty hain. Is ke elawa ap beauty tips ko apni daily life mein implement kren.

Dahi Aur Baisan Ka Paste

Dahi Aur Baisan Ka Paste

Is remedy ko hr trah ki skin type py lgaya ja skta hai, lekin ye khas tor pr dry aur sensitive skin ke liye bohat mufeed hai. Ye gharelu totka zubaida apa ka share kiya hua hai. Wesy is totkay ko apny TV ads ya Youtube channel py bhi dekha ho ga.

Baisan mein antioxidants aur anti-inflammatory properties hoti hain jo jild ko nuksan pahunchane wale free radicals se bachate hain. Dahi mein lactic acid hota hai jo chehre ko saaf karne mein madad karta hai. Ye mixture skin ko nourish krta hai. 

Isko banny ke liye:

  • 4 khany ke chamach gram flour 
  • Medium sized lemon ka juice
  • Pinch of turmeric
  • 1 tbsp dahi

Aik bowl mein in tumam ajzaa ko achy sy mix kr ke aik paste bna lain aur 10 minute rakh rakh dain ta ke dahi aur basin apas mein mil jayen.

Ab is paste ko apny face aur neck pr achy sy apply kren aur 15 minute lga rehny den. Is ke bad lukewarm water sy apna chehra dho lain.

Avocado + Carrot

Avocado and Carrot for skin whiting

Ye dono ingredients na sirf khany sy balky chehre py lgany sy bhi bohat faida milta hai. Avocado mein healthy fats aur vitamins hote hain jo skin ko nourish aur khushki ko door karte hain. Carrot mein beta-carotene  hota hai jo jild sy dhabe door kr kr isko chamakdar banane mein madad karta hai. 

Is amazing remedy ko istemal karne ka ka treeqa:

  • Aik medium sized carrot lain, isko boil kr kr naram kr lain. Phr avocado pulp aur naram ki hui gajar ko mash kr lain. 
  • Is mein aik tbsp shehad aur aik anda mila lain. 
  • Agr ap heavy cream add krna chahty hai to 1 khany ka chamach mila lain. 
  • In sb cheezon ko achy sy mix kr lain aur aik smooth paste bna lian. 

Is cream ko apny face, gardan, aur hathon py achy lga lain aur 15 minutes wait kren. Phr thandy paani sy achy sy wash kr lain.

Malty ke Chilkey Aur Gehun ke Aaty Ka Ubtan

Malty ke Chilkey Aur Gehun ke Aaty Ka Ubtan

Orange peels jinko women ghair zroori cheez smjh ke phaink dety hain, ye skin ke liye bohat faidymand sabit hoty hain.  Is sy ap aik behtreen qisam ka ubtan tyar kr skty hain jo skin py work kr ke isko white krta hai. Is ke results itny amazing hoty hain ke apko is remedy sy love ho jaye ga. Is ko bnany ke liye:

  • Gehun ka atta- 2 chammach
  • Besan – 1 tbsp
  • Haldi – 1/2 chammach 
  • Malty ke chilky- 2 khany ke chamach
  • Sarson ka tail (Mustard Oil) – aik tsp

Sb sy pehly aik bowl mein aata, gram flour aur turmeric powder aut peesy huye orange peel mila lain aur us pain sarson ka tail add kr lain. Agr paste zyada thick ho to us main paani ya agr dry skinkai to doodh add kr k smooth paste bna lain. 

Islo mask ko apny face, neck aur hathon py lg lain aur 15 minutes tak wait kr kr normal water sy dho lain. Is remedy ko week main maximum 2-3 bar istemal  kre. 

Conclusion

Ap home remedies sy apni skin ko white or glowy bna skty hain. In totkay ka istemal karne se pehle, apni skin type aur problems ko samajhna zaroori hai. Iske alawa, in totkay ka istemal karne se pehle, apne chehre par thoda sa patch test karna zaroori hai taaki koi allergic reaction na ho.

 In tumam treatments main natural cheezen shamil ki gai hain jo ke skin py safe hoti hain. Ap is trah ki aur bhi mufeed beauty tips in urdu hmari website py parh sky hain. To search details, visit www.totkay.com

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.