Makeup remover aik zroori product hai jo apki skin ko clean aur healthy rkhta hai. Lekin market main available chemical-based removers apki skin ko nuqsaan pohncha skty hai khas tor py sensitive aur oily skin ko.
Is article mein home-based makeup remover bnany kr tareeqy aur unka istemal btaya jaye ga. Hr trah ki skin ke mutabiq ap cutomized makeup remover bna skty hain.
Table of Contents (makeup remover)
Makeup Remover Kyoun Zarrori Hai?
Ye aik zroori product hai jo ke makeup ko achy sy htany mein madad krta hai. Jesa ke ap sb janty hain ke makeup mein chemicals istemal huye hoty hain. Ye chemicals agr zyada time ya over night ap ki skin py lgy rahen to ye is mein penetrate kr jaty hai. Agr ap bad mein simple water sy face wash bhi kr lain phr bhi ye remove nhi hoty.
Aisy harsh chemicals ya substances ko skin sy remove krna bohat zroori hai. Inko remove krny ke liye bohat sary makeup removers market main available hain. In makeup removers ke bohat sary faidy hain:
- Makeup removers skin pr say makeup, oil, or dirt wghera ko htaty hain.
- Skin ko moisturize bhi krty hain jis sy skin healthy rehti hai.
- Skin tone ko equalize krta hai.
- Fine lines aur wrinkles ko remove krta hai.
- Jild ko soft aur smooth krta hai.
Market main paaye jany waly cleaning oils hr skin py suit nhi krty. Agr apki skin py bhi is ke manfi asraat hoty hai to ap apny ghr pr chemical-free aur apni skin type ke according makeup remover bna skty hai.
Ghar Main Makeup Remover Banany Ke Faedy
Homemade makeup remover bnany or apni skin py makeup remove karny ke byshumar benefits hain. Baaz logo ki skin kaafi zayada sensitive hotui hai, jin py store-bought aur chemicals waly product ya removers isimaal karna kaafi risky ho sakta hai.
Is ke elawa kuch logo ko makeup removers ki taiz or chubny wali smell sy sar main dard ya allergy ho jati hain, un ke leay bhi ghar main tyar karda makeup remover bohat effective or sasta hal hai jo ke na siraf fragrance-free hoty hain balky har trhaa ki skin type ke leay yaksaa musfee hain. Yhan hum natural ingredients say bnay gay make up removers ke faedy bayan karty hain.
Chemical-free Hoty Hain
Sab saay aham faeda ye hai ye natural ingredients aur essential oils say bnay jaty hain aur kisis bhi qisam ke harsf chemical say pak hoty hain. Aam tor pay store-bought makeup remover ke andar mukhtalif trhaa ke chemicals jesa ke mercury, acetone, alcohol, mica, parabens, hexachlorophenes, aur kae tarhan ki synthetic fragrances shaamil ke jaati hain.
Ye harsh chemicals skin main penetrate kar ke kae tarhan ki hormonal imbalance, skin issues, allergies, sar dard, aur skin barrier ko tabah karny ka sbab ban sakty hain. In sab masayl say bachmy ke leay zaroori hain kr ghar main tyar karda khaalis makeup removers hi istimaal keay jay.
Sensitive Skin Ke Leay Behtar Hain
Agar apki sensitive ya irritated skin hai to apko kisi surate bhi chemical-based makeup removers istimaal nhi karny chaheay kyou ke ye makeup removing ke duran ink particles sensitive ke andar easily penetrate kar jaty hain aur skin ko bohat buri tarhan say damage karty hain, pH disturb kar ke ya phir skin barrier ko khatam kar ke. Skin ke andar zra su bhi inflammation acne aur breakouts ka sabab hai.
Apni skin ko protect karny ke sath sath makeup remove karny ke leay hmesha ghar main bnay gay makeup removers hi istimaal karny chaheay, ye zayada suitable hain.
Budget-friendly Hain
Aakhir main sonay py suhaga wali baat ke ghar main bnay makeup removers itny zayada faedy mand hony ke elawa ye ready-made makeup remover wipes say kaafi zayada sasty hoty. Matlab apni jaib pay extra burden daaly bghair hi ap ideal cleansers bna sakty hain.
Customizable Hoty Hain
Apni skin type aur conditions ka har insaan ko pata hota hai ke aya meri skin oily hai ya dry, normal hai ya ance pron. Apni skin ke hisaab say hum ek customize makeup remover tyar kar sakty hain. Misaal ke tor py agar hmari skin dry hain to hum apny cleansers ya remover main shaihad ka istimaal krain gain aur agar hmain acne ki shikayat hai to uske leay calendula oil perfect hai.
Esy hi apni skin type ko mad-e-nazar rakhty hovay hum makeup removers ke ingredients kam ya zayada kar ke ek perfect aur most effective remover bna sakty hain.
Oily Skin Ke Leay Makeup Remover
Agr apki skin oily hai aur ap regular makeup ka istemal krty hai to ye pores ko block kr deta hai. Oily skin par makeup ke zyada istemal se acne aur breakouts ka khatra badh sakta hai. Ye skin ko mazeed greasy bna dety hain aur chemicals natural glow ko khtm ke dety hain.
Ye nuqsanaat tb hoty hai jb ap apki skin ko achy sy cleanse nhi krty aur makeup products skin main penetrate kr jaty hai.
Oily skin py makeup remove krny ke kuch natural remedies ye hain:
Qudarti ajzaa: Is mein two tablespoons witch hazel, 1 tbs Jojoba oil, aur 2 tbs aloe vera shamil hain. Y tmam cheezen aik saaf container main achy sy mix kren. Istemal krny ke liye thorra sa mixture cotton pad pr lgayen aur makeup remove kr lain.
Oil-based: Ap heran hon gy k oily skin py oil-based remover kesy use kr skte hain. Asal mein ye oils skin sy extra oils ko pull out kr dety hain aur skin saaf ho jati hai.
Is remedy mein use hony waly oils:
- Castor oil (⅓ tbs)
- Olive oil (⅔ tbs)
In dono oils ko aik bottle mein add kren aur achy sy mix kr lain. Skin py bilkul thorri quantity apply kren. 2 minute baad slightly warm aur geela kapra 1 minute ke liye face py rkhen aur doosri saaf side sy apna face wipe kr lain. Ye remedy hr skin type ke liye use ho skti hai. Ye waterproof makeup remover aap eye makeup ke leay bhi use kar sakty hain.
Dry Skin Ke Leay Brhtreen Makeup Remover
Dry skin tmam skin types main say sab say zayada irritated aur muskil say handle ke jany wali samjhi jaati hai. Esi jilad ke leay zarrori hai ke moisturizing aur hydrating ajzaa apny make remover main shaamil keay jayn.
Esi skins ko tackle karny ke leay or har trhaan ki impurities remove aur clean karny ke leay hum laay hain 2 bohat hi mufeed and highly effective remedies, jinko follow kar kay makeup remover banana bht easy hai.
- Pehly makeup remover ke zaroori ingredients hain 2 tbsp glycerin, 1 tbsp brewed sabaz tea, aur 1 tbsp angooro ka tail. In main glycerine ek bohat acha moisturizer hai jab ke green tea main anti-inflammatory kahoosiyat pai jaati hai, jo ke skin ki overall health ko improve kari hai. In 3no cheezo ko mix kar lain or spray bottle main mehfooz kar lain. Makeup removing say pahly bottle ko achi tarhaa shake kar ke apny face py spray krain or cotton balls say saaf kr lain, phir kuch minutes ke baad water say apna face wash kar lai.
- Dosary tariky main apko chaheay hain 1 tbsp aloe vera gel, 2 tbsp gulaab ka araq, aur 2 tbsp nariyal ka tail (coconut oil). Ye makeup remover banany ke leay ek saaf bowl main cocnut oil aur rose water mix krain, uske bad is main aik chamach aloe vera gel ka daal dain, ye hydrating aur heeling khasoosiat rakhta hai ayr dry skin ko comfort faraham karny main effective hai. Is ke baad tmam ingredients ko achy say blend kar lain, jab ek thick sa paste ban jay to ek saaf sheeshi ya bottle main store kar lain. Dry skin ke leay behrteen makeup removers tyar hain.
Perfect Makeup Remover Sensitive Skin Ke Leay
Sensitive skin type allergies aur irritation ka bohat jaldi shikaar ho jaati hai. Ye harsh chemical aur formula-based products aur ingredients jo ke face jilad ke leay suitable na hon, bohat jaldi mutasir ho jaati hai. Esi skin ke leay calming aur soothing properties rakhny waly ingredients say bany products hi istimaal karny chaheay, jo har tarhaa ki sojan ya reaction say protect kry.
- Jab baat ati hai skin protection ke to uske leay rose water say behtar koi cheez nai ho sakti, is tariky main hmain chaheay 5 tbsp rose water aur 1 chay ka chamach aloe vera gel. In dono ajzaa ko achy say mila lain or kisi naram kapry ya cotton pad say makeup remover krain. Makeup removing ke elawa bhi ye totka skin ko glowing bnany ke leay istimaal kar sakty hain.
- Dosry totkay main hum istimaal krain gain 1 tbsp badam ka tail, 1 tbsp grapeseed oil, 2 khaany ke chamch chamomile tea, aur 1 tbsp kheeray ka paani. Ye tmam ajzaa non-irritating, non-greasy, hydrating, aur kaafi aram farahm karny waaly hain. Sab say pehly chamomile tea ko boil krain aur thanda hony ke liye rakh dain, Ek bowl main baqi saary ingredients daalain aur achy say mix kar lain, tab tak chay bhi thandi ho jay gi. Ab is mixture main brewed chamomile tea mix kr lain. Perfect makeup remover, oily skin ke leay bilkul ready hai, jo ke effectively removes makeup main kaam ata hai. Isay ek spray bottle main daal lai. Istimaal karny say pehlay achi trhaa shake karna mat bhoolain.
Effective Makeup Remover Acne-Prone Skin Ke Leay
Acne ka msla ajkal bohat commonly paya jata hai. Is ki beshumar wajoohat hain jin mein sy sb sy zyada hormonal imbalance hai. Agr apki skin bhi acne-prone hai aur ap makeup ka istemal bhi krty hain to ye nehayat zroori hai ke ap isy achi trah saaf bhi kren.
Is trah ki skin par makeup remover ka kaam hai ki wo skin par se makeup, oil, aur dirt ko hataye, jisse clog pores nahi hote aur acne ka khatra kam hota hai.
Shehad aur Calendula tail: In remedy ke liye 1 tbs honey aur 3-4 drops is oil aik bowl mn mix kr lain. Is sy aik thick sa paste ban jata hai jo ke face py directly lgaya ja skta hai. Is mixture ko lgany ke bad halky hathon sy massage kren aur agr zroorat mehsoos ho to paani sy bhi wet kr lain. Jb achy sy makeup pull out ho jaye to normal paani sy wash kr lain.
Faidy:
- Shehad mein antibacterial properties hote hain jo skin ko infection se bachate hain.
- Honey exfoliating properties rakhta hai jo dead skin cells ko hatate hain.
- Calendula Oil mein anti-inflammatory properties hote hain jo skin ko calm karte hain.
Combination Skin Ke Leay
Combination skin ko samjhna aur achy say deal karna thora sa ticky ho sakta, kyou ke kuch face ka hissa dry hota aur aur kahin say excess oil produce ho rha hota hai. Is tarha ki skin ko combo skin kaha jata hain jis main T-zone yaani naak, chin, aur maathy say excess oil produce hota hai jab ke gaal zayada dry rhty hain.
Is tarhaa ki skin ke leay suitable makeup remover bnany ke leay hmain chaheay:
- 2 tbsp witch hazel
- 1 tbsp jojoba oil
- 1 tbsp aloe vera
- 3 tbsp gulaab ka araq
Ek medium-sized bowl main saary ajzaa sbtae gae miqdaar ke mytabiq daal kar hal kar lai aur ek air-tight main safe kar lain. Roi ke choty say tukry main thora sa paste lga kr makeup remove kar lain.
Conclusion
Ghar mein makeup remover banana ek easy aur affordable process hai jo apke skin ko healthy aur 5 stars glow deta hai. Isse aapke skin ko natural nourishment milta hai, aur aapke skin ki problems kam hoti hain. Is article mein effective remedies btai gai hain jo ap ke liye bohat mufeed sabit ho skti hain. Mazeed remedies ke liye visit kren, www.totkay.com.
Hi, I’m a dedicated writer at Totkay.com, passionate about sharing practical tips and solutions to make your life easier. Explore my articles for helpful insights and valuable advice. Stay connected for more expert content!