Nail paint aik self-care ka tarika hai jo hhmary andar ki khubsurati aur confidence ko boost krta hai. Lekin, agar accidentally nail paint nails ki bjay kapron par gir jaye, toh yeh ek bada problem ho sakta hai. Kya ap in stains ko remove krny kay asan tareeky janty hain?
Agr nhi janty to ham apko is article main bht effective aur easy to use remedies botany waly hain jo k ap k kapron ko damage hony sy bhi bchayen gy aur in daaghon ko remove bhi kren gy.
Table of Contents
Nail Polish Stain ko Khatam krny K liay Nail Polish Remover Ka Istimal
Nail polish remover ek effective tarika hai nail polish stains ko khatam krne ke liye. Kuch removers acetone based hoty hn jb k baqi non-acetone. In main kuch components hoty hain jo aisy stains ko khtm krty hain jaisy kay solvents, detergents, aur additives (fragrance).
Nail polish removers daagh ko dissolve aur break down karta hai, surfactants aur solvents ke saath milakar daagh ko remove karta hai. Acetone-based removers chemical bonding ko break karte hain, jab k non-acetone removers ethyl acetate aur butyl acetate jaise solvents ka istemal karte hain.
Kapron say nail polish k dagh khtm krny k liye nail polish remover ko aisy use kren:
Sabsy pehly nail polish remover ko cotton swab ya cotton ball par lagayein. Phr us cotton swab ko stain par lagayein aur thoda sa press karein. Kuch seconds wait kren ta k nail polish remover dagh mn penetrate kr k usko dissolve kr skay. Phr aik or cotton swab ya clean cloth sy stain ko saaf kren aur hot water say dagh waly hissay ko wash kr lain or yaqeen kr lain k nail polis ka koi remaining residue nahi bcha. Ye sab sy basic tarika hai to remove nail polish stains ya to polish out of clothes .
Baking Soda or Safaid Sirky (White Distilled Vinegar) Ka Istimaal
Baking soda aur sirka just khany mn hi use nhi hota balkay is k elawa b in k bht benefits hain. Dono k combination say bht achy results milty hain aur dagh ko remove krny main asani hoti hai. Baking soda aur sirky ka combination daagh ko dissolve aur break down karta hai aur pH level ko adjust karta hai, jisse nail polish ki chemical bonding break hoti hai. Is k elawa baking soda excess moisture ko absorb bhi krta hai jisse daagh ko dry aur remove krna asaan hota hai.
Is remedy ko istemal krnay k liye aik bowl main equal miqdar main dono cheezon ko mix kr kay aik paste bna lain. Ab is paste ko stained area py gayen, soft brush ya clean cloth sy halka hlka rub kren aur 15-20 minutes tak wait kren. Phr saaf kapray sy us jgah ko clean kren aur cold water say dho lain. Agr dagh khtm na ho to ye steps 2-3 dfa repeat kren.
Tips: Paste ko zyada time k liye kapron pr na lgayen aur srkay ko as such use nhi krna chahiye. Hot water sy wash na kren us sy stain persisten ho jaty hn aur remove nhi hoty.
Acetone or Hydrogen Peroxide ka Istimaal
Nail polish ko kapron se remove karne ke liye Acetone aur Hydrogen Peroxide do behtareen options hain. Acetone ki powerful dissolving properties aur Hydrogen Peroxide ki gentle oxidizing properties kapron ko nuksan pohnchaye bina nail polish ko remove karne mein madad karti hain. In dono substances ka istemal aapke kapron ko safe aur clean rakhta hai.
Acetone: Aik cotton swab ya cotton ball mein acetone daalen aur isko stained area py rkhen. 15-20 seconds tak wait kren aur gently kapray ko rub kren. Phr paani say dho lain. Agr daagh hlka ho jaye lekin remove na ho to is procedure ko repeat kr lain. Acetone zyada time k liye kapry pr na lgayen.
Hydrogen Peroxide: Isko as such kapry py na lgayen balky pani main equal quantity main mix kr lain aur cotton swab ki madad say dagh py lgayen. 5 minutes tak wait kren aur paani say dho lain.
Caution: Ye dono substances use krty huye gloves paihnain aur skin se door rakhain. Acetone zyada taiz dry cleaning solvent hai or instant kam krta hai jab k hydrogen peroxide mild hai or slow work krta hai. Apni zroorat k mutabik remedy select kren.
Stubborn Stains k Liay Dish Soap or Baking Soda ka Istimaal
Baking soda or liquid dish soap dono daagho k khatmy k leay bohat moasar hain, in ka paste clothes nail polish stains ko dor krny k leay ek incredible or safe tarika hai. Baking soda delicate fabrics ko nuqsaan phnchay bghair nail polish k permanent mark ko bhi khtm kr deta hai.
Is tariky k leay hmain baking soda, a few drops liquid dish soap k, cold water, clean white cloth ya paper towel ki zaroorat hai.
Sab sy phly baking soda or dish soap ka paste bna lain os k bad stubborn nail polish stains k opar lgayn or 15 sy 20 minutes tk lga rhny dain. Is k baad saaf kpry sy saaf or gently scrape kr lain or ue sara aml repeat krain jab tak daagh khtm na ho jay. Usk bad kpry ko washing machine main dho k sukhaa lain, har qisam k daagh khtm ho jayn gn.
Rubbing Alcohol
Rubbing alcohol jo k isopropyl alcohol k naam sy bhi jaana jata hai, nail polish stains ko remove krny k leay bohat behtreen hai. Apni solvent nature ki wja sy ye dosry substances ko asani sy dissolve krny main maharat rkhta hai. Is tareeky k leay hmain darj zail cheezo ki zroorat hai:
- Cotton ball ya phir white paper towels
- Rubbing alcohol or Cold Water
- Dull Knife
- Microfiber cloth
Sab sy phly to nail polish k dhbby ko gently blot dry krain, dry hony k bad dull knife say excess nail polish ko gently scrap krain. Ab cotton ball ya damp cloth, ko rubbing alcohol main dip kr kay nail polish stain k opar rub krain. Is k elawa microfiber cloth bhi istimaal kea ja skta hai.
10-15 minute alcohol ko kapry py lga rhny dain ta ka wo achy say nail polish stains ko apny andr hal kr ly. Is k baad stained area cold water sy dho lain, daagh khtm hony k bad kpry ko machine wash kr lain or fabric care label yaad sy parh lain.
Carpet sy Nail Polish Remove karny ka trika
Carpets apni zayada jazab krny ki silaheat ki wja sy nail polish stains ko jldi apny andr jazab kr lety hain jis sy baaz oqat chutkara paana muskil ho jata hai q k nail polish dries quickly. Carpets k opar sy removing nail polish stains k leay hmain foran action lena chaheay ta k excess polish ko nikala ka sky.
Carpets k leay rubbing alcohol, washing detergent ya baking soda koi bhi cheez istimaal ki ja skti hai, k ye sb bohat effective hain to remove dried nail polish. Is ka baad stained area k opar warm water daalain or saaf cleaning cloth say daagh saaf kr lain (rub the stain) but avoid rubbing.
Nail Polish Stain Removal k leay Zroori Ahtyati Tadabeer
Professional cleaner k mutabiq removing nail polish k leay kuch ahtyati tadabeer hain jo k laazmi tor py apnani chaheay kisi bhi qisam k haadsy sy bchny k leay. Nail polish removing k leay istimaal ke jaany wali cheezain zayada tr flammable hoti hain jo bohat jald aag pkar skty hain jesa k acolohol and acetone.
- Protective gloves or glasses pehan lain nail polish k daagh remove krny sy pehlay.
- Nail polish stains remove krny k leay jgaah ka intihaab aqalmandi sy krain, kabhi bhi carpet k opar ya sofy pt brth kr na krain.
- Kisin open ya ventilated jgah py alcohol yar acetone wghera say nail polish k daagh remove krain q k in sy harmful fumes nikalty hain jo k insaani sehat k leay muzar-e-sehat hain.
- Fingernail polish k daagh kpron sy saaf krny k bad achy tareeky sy apny haath or baazo dho lain.
Conclusion
Is detailed blog post main hum ny zikar kea hai kuch home remedies ka, jinko use kr k hum hr isam k nail polish k daagh kapro sy nikal skty hain bhgair kisi preshani ya dry cleaners experts ki mdad k. Nail polish removing tareeko main shaamil hain rubbing alcohol, nail polish remover, dish soap, baking soda, and acetone, in substances ka instimaal kr k hum behtar tariky sy treat nail polish stains kr skty hain. Is trhan k or totkon or updates k leay ap hmari website totkay.com visit kr skty hain.