Khira ka pani kon si bimariyon se bachata hai? Janein is ko banane ka sahi tareeqa jis se aap bhi yeh 5 faide hasil kar sakte hain.
Mausam-e-garma ke aate hi bazaar mein sabz hare khire apni bahar dikhlane lage. Yun to khira salad ke tor par khaya hi jata hai, lekin aaj hum aapko khire ka pani banana sikha rahe hain jo apne andar kai faide samooye hue hai.
Table of Contents
Khira ka pani banane ka tareeqa
Sabse pehle 8 pyaali pani lein, is mein 2 khire bareek kaat kar daal dein aur aadha chai ka chamach namak bhi daal dein. Is ameezay ko kam se kam 4 ghanton ya raat bhar aise hi chhod dein. Agle din aapka detox water tayyar hoga.
Ghazai ahmiyat
Khira ke pani mein vitamin C, vitamin K, magnesium, potassium aur manganese ke ilawa fiber bhi paaya jata hai.
Faide
- Khira ka pani jism mein sozish ko kam karne mein madad karta hai. Ye gathiya aur gout jaisi bimariyon se bachane mein kirdar ada kar sakta hai. Baqaidgi se khira ka pani istamaal karne se dard ko kam karne aur naqal o harkat mein behtari ka ba’ais ban sakta hai.
- Khira ke pani mein fiber hota hai, jo isay qabz, aphara aur badhazmi ke liye ek behtareen qudrati ilaaj banata hai. Ye antoon ki harkat ko munazzam karne aur hazma ki kharabi ko door karne ke liye behtareen hai. Is se wazan kam karne mein bhi kaafi madad milti hai.
- Khira ke pani mein antioxidant khususiyaat hoti hain jo jild ko tone aur tight karne mein madad deti hain. Khulay masamon aur jhuriyon ko kam karti hain. Ye jild ko hamwar aur zyada chamakdar banata hai.
- Khira ke pani mein antioxidants jaise ke Fisetin paaye jate hain, jismein cancer mukhalif khususiyaat paayi jati hain. Khaaskar barri aant, chhaati aur prostate ke cancer ke khatre ko kam karne mein ye behtareen hai. Is ka baqaidgi se istemaal cancer ke khatre ko kam karne mein madadgar sabit ho sakta hai.
- Khira ke pani mein qudrati sozish door karne ki khususiyaat hoti hain jo ke mahoari ke dard, aphara aur PMS se waabasta mood swings ko door karne mein madad kar sakti hain. Ye baghair kisi side effect ke qudrati relief faraham kar sakta hai.
- Khira ke pani mein antibacterial khususiyaat hain jo saans ki badboo, masooron ki sozish aur daanton ki kharabi ko kam karti hain. Khira ka pani munh mein lene se bacteria mar jate hain.
Summary:
In conclusion, khira ka pani na sirf aik refreshing aur sehatmand mashroob hai, balkay ismein mukhtalif ghizaiyat aur medicinal faide bhi mojood hain. Iska baqaidgi se istemaal aapki sehat aur jild ke liye mufeed sabit ho sakta hai. Yeh asaan aur sasta hai, aur isse banane mein zyada waqt bhi nahi lagta. Apni sehat ko behtareen banane ke liye aaj hi khira ka pani apni rozmarra zindagi mein shamil karein.