Get Our Exclusive Hair Growth Ebook
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid

Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid

Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 16

Anjeer ek bohat mufeed dry fruit hai. Yeh sab ke liye hi faida mand hai. Lekin khaas tor par khawateen ke sehat ke kuch masail aise hain jin ko hal karne mein yeh bohat madadgar hai. Khawateen achi aur sehat mand zindagi ke liye kafi jatan karti hain, woh warzish waghera bhi karti hain, diet bhi karti hain is ke alawa apni khurak ko bhi behtar banane ki koshish karti hain. Yahan hum ek aisi cheez ke bare mein baat karenge jo ke agar sahi tareeqay se khai jaye to is se khawateen ki sehat ke kayi masail hal ho sakte hain.

Anjeer mein Maujood Ghizaaiyat

Anjeer mein Maujood Ghizaaiyat
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 17

Anjeer ghizaaiyat se bharpoor ghiza hai. Is mein calcium, magnesium, potassium, manganese, fiber, vitamin B6 aur omega-3 fatty acids bharpoor miqdar mein maujood hain. Anjeer mein maujood ghizaaiyat se haddiyan aur dant mazboot hote hain, is mein maujood fiber nizaam-e-intizam ko behtar banata hai. Menopause ke masail ko hal karta hai. Wazan kam karne mein madadgar hai. Aur bhi bohat se dosray masail mein madad karta hai. Yahan hum is ke bare mein tafseel se janege.

Menopause ke masail ka hal:

Menopause ke masail ka hal
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 18

Anjeer mein chunke zinc, magnesium, iron, etc. wafir miqdar mein maujood hain jo ke khawateen ki tawiladi salahiyaton ko barhate hain. Is ke sath is mein maujood antioxidants aur fiber harmones ke masail ko hal karta hai. Menopause period mein hone wali takaleef mein bhi madadgar hai.

Wazan mein kami laye:

Wazan mein kami laye
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 19

Aaj kal har dosra shakhs ka masla wazan ka barhna hai kyun ke fizikal activities kam hui hain aur baithay baithay sare kaam kiye ja rahe hain to is ki wajah se wazan mein izafah qadri natural baat hai. Anjeer mein maujood fiber wazan mein kami lane mein bohat madad karta hai. Lekin kyun ke is mein calories zyada hain to muqarrar miqdar mein istemaal karein.

Khoon ki kami door karein:

Khoon ki kami door karein
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 20

Khoon ki kami khawateen ka bunyadi masla hai, agar anjeer ka istemaal kiya jaye to is se iron ki kami door hoti hai aur hemoglobin ki miqdar barh jati hai.

Dant aur haddiyan mazboot:

Dant aur haddiyan mazboot
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 21

Khawateen mein aik bohat aam masla haddiyon ki kamzori, un ka bharbharapan aur dard hai, wajah yahi hoti hai ke bachon ki paidaish mein aurat ki kafi energy khatam ho jati hai is mein ghizaai ajza ki kami ho jati hai agar bachon ke baad apni ghiza ka khayal nahi rakha gaya ho to yeh kami barh jati hai, is liye khawateen mein joron aur haddiyon ka dard bohat aam masla hai. Anjeer mein maujood calcium aur magnesium haddiyon aur danton ke liye bohat behtareen dawa hai. Is liye is ka durust istemaal khawateen ke is masle ko bhi hal kardeta hai.

Amraz-e-qalb mein mufeed:

Amraz-e-qalb mein mufeed
Khawateen Kay lie Anjeer kay Fawaid 22

Anjeer mein maujood ghizaaiyat aur antioxidants aap ka cholesterol level bhi durust satah par rakhte hain aur blood pressure ko bhi m’amool par rakhte hain. Yeh dil ki sharyano ko kholte hain. Anjeer triglycerides ki satah ko kam karne mein madad kar sakti hai. Isay amraz-e-qalb ki aik badi wajah samjha jata hai.

Anjeer kaise khai jaye?

Anjeer waise to mazeedar dry fruit hai isay aap kisi bhi tareeqay se kha sakte hain lekin agar aap isay pani mein bhigo kar khayein to yeh zyada faida pahuncha sakta hai. Do se teen anjeer raat ko pani mein bhigo dein, subah uth kar is ka pani pi lein aur anjeer chaba kar kha lein. Intehai mufeed aur behtareen ghiza hai.

Mazeed tips, remedies aur totko kay lie, humari website www.totkay.com visit krain.

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.