Aapke haathon ki khubsurti ko badhane ke liye French Manicure ek classical aur elegant option hai. Ab aap soch rahay hongy ki is k liye aapko salon jaana padega, lekin nahi! Aap apne ghar par hi French Manicure kar sakte hain.
Is article main ham apko btayengy k kaise aap apne ghar par hi French Manicure kar sakte hain, jismein mukaml tarika aur zaroori cheezon ke baray mein bataya jayega. Ye DIY guide aapko apne haathon ko salon-level finish dena sikha dega, aur aapkay paiso aur waqt ko bhi bachayega.
Table of Contents(How to do a French manicure)
French Manicure Ke Leay Zaroori Saman
French manicure start karny sy pehlay zrori hai ka sary tools or ingredients ek jagah akhty kar leay jayn ta k bar bar ki preshaani sy bcah jay. Is k leay koi expensive ya fancy tools ki zaroorat nahi hai balky aam nail grooming k leay use hony wali chaeezain hi kaafi hain.
- Nail Polish Remover: Nails py pehlay say lagi hoi nail polish ko htany k leay.
- Nail Filer ya Buffer: Nakhunoo ko shape deny or unki surface ko saaf aur smooth karny ke leay.
- Cotton Swab: Nail Polish ko edges sy remove krny ke leay.
- Safaid Nail Polish: White nail polish classic french manicure tips ko bnany k leay istimaal ho gi.
- Scotch Tape: French tips py white nail polish sy straight line bnany k leay french manicure stickers ya phir tape ka istimaal hota hai.
- Orange Stick: Cuticle ko clean aur trim krny k leay.
- Warm Water aur Sabun: Cuticles ko naram or hathoon ko clean krany k leay garam paani aur soap ka use krain.
- Cuticle Oil: Cuticles ko trim karnay ke baad moisturize karnay ke leay.
- Nude Ya Pink Color Ki Nail Polish: Perfect aur classic french manicure look k leay nail bed py apply krny ke leay.
- Base Coat: Nails ko protect or even foundation deny k leay base coat ko apply kea jata hai, is k elawa ye nail polish ko sahe say stick honay main bhi help karta hai.
- Top Coat: Nakhonoo ki shine or french manicure ki looks ko better bnany k leay.
Flawless French Manicure Ke Leay Aham Steps
Flawless manicure ap k hathon ko ain elegant and classical look deta hai. Is k liye kuch aham steps hain jinko follow kr k ap apny desired results hasil kr skty hain jo aapke haathon ko ek naya aur attractive look dega.
Nakhunoo Ko Manicure Ke Leay Tyaar Krain
Sabse pehly apny hathon ko achy sy wash kr lain aur nakhnon pe lagi hui purani nail polish ko cotton pad ya non-acetone remover sy htayen. Baz auqat kuch nail paints ya regular polish bht sakht hoty hain jo k nakhunoon sy to utr jate hain lekin sides sy nhi remove hoty. Is case mn aik cotton swab lain aur usko remover main dip kren phr edges sy remove kr lain.
Ab longer nails ko aik khubsoorat or hygienic shape dainy k liye pehly inki tips ko trim kren lekin bht short na kren. Nail shape ko ly k hr aik hi apni choice hoti hai lekin zyada tr log natural shapes jesy k almond ya phr oval shape ko hi prefer krty hn. Ap apni mrzi ki shape dainy k liye nail filer ka istemal kren. Apny nails ko aik classic elegance, smooth aur same length dainy k liye achi quality ka file use kren.
Cuticle Ko Remove Krain
Cuticles ko trim karny ke leay sabse pehlay ek warm bowl lain or apny haath neem garam sabun milay paani main dalain. 15 sy 20 minutes k baad hath nikal lain, is amal sy cuticles soft ho jayn gi. Ab clean towels sy apny haath achi trhaa saaf kr lain aur cuticle pusher ya orange wood stick ki madad sy aram aram sy har nail ki cuticle ko peechy ki taraf push krain.
Agar esa karty hovay takleef mahsoos krain to foran ruk jayn or cuticles pay zayada pressure mat dailain. Ab trimmer ki mdad sy zaed cuticles ko cut krain, is sy na siraf ap ke nail neat lgain gain blky har trhan ke natural nails infection sy bhi bach jayn gy. Cuticles ko trim krny sy pehlay make sure kr lain k aap ye kam achy sy kr skty hain q k is main cuticle damaging k chances zayada hain or bad-ahtyati sy cut lgny aur bleeding ka khadsha hai.
Hathoo Pay Moisturizer Lagayn
Cuticles remove krnay k bad hathoo or cuticles ko moisturize krna bhi bohat zroori hai. Kisi achy moisturizer ko apny hathoo py lgayn or achy sy scrub kr lain. Cuticles ki extra pampering and care k leay zrori hai recommended cuticle oil such as olive oil tips py apply kain or kuch minutes tk lga rhny dain ta k ye achy sy skin main absorb ho jayor cuticles ko healthy bnany main apna kirdad ada kr ly.
Magar khayal rhy k extra moisturizer apny nails py na lga ho is sy base coat lagany main preshaani ho skti hai. Ghair zaroori moisturizer ko htany k leay cotton swab ko nail polish remover main dop kr ka nakhon saaf kr lain. Isy sy har trhaa k oil remove ho jay ga or nail polish achy sy nail bed py chipak jay gi.
Base Coat Lagayn
Apny hathon ko achy say moisturize krny k bad nails ko prime kren jaisy make up sy pehly apny face pr primer lgaty hn. Is k liye aik dry brush lain. Ab base coats ko nail plate py lagane ke liye apne nails par ek thin layer lagaen, yeh dhyan rakhein ke base coat har nail par evenly laga hona chahiye. Base coat ko dry hone ke liye kuch der wait karein.
Isko apply krny k boht sary benefits hai jaisy k nails surface smooth ho jati hai aur ye paint ko equally spread karne mein madad karta hai. Is say nail paint surface pr stich ho jata hai aur iska color zyada acha nzr aata hai .Iska sb sy brha faida ye hai k ye nail surface ko damage hony se protect karta hai aur nail paint ki consumption ko kamkrta hai.
Nail Ki French Tip Banayn
French tips ya rounded shape banana apk leay sab sy aham or mushkil marhala ho skta hai, q k bad oqat straight air small line draw krna muskil ho jata hai. French nail tips ko perfectly shape or delicate white line deny k 2 asan tariky hain jis main sab sy pehly ata hai scoth tape istimaal krna ya french manicure nail stickers use krna.
Agar ap nail tip py curved line draw karnay main maharat nhi rkhty to behtar hain french tape nails ki tips py lgayn or upar sy thora sa area, jisy ap white polish lgana chahty hain chor dain. White nail polish apply krny sy phly achi tarhaa check kr lain k tape main koi air rap na ho ya wo loose na, q k agar esa ho to chances hain k white nail polish tape k neechy sy travel kr k nails py lagskti hai.
Ab perfect manicure ke leay exposed nails py safaid nail polish crescent shape main lagyn or dry hony ka wait krai, jb sookh jay to scotch tape nails sy remove kr lain. Perfect French nail tips tayar hain.
Nude Shade Ka Top Coat Lagayn
Aik dfa base coat dry ho jaye aur French tips ban jaye to next step apna pasndeeda shade apply krny ka hai. Ap clear white ya phr light pink color use ke sky hain jo k ap k nails ko aik elegant look dy ga.
Ek baar base coat aur white tips puri tarah se sukh jayein, toh phir pury nails par, white tip samet, light pink ya nude polish ki aik layer lagayein. Is say aik classic look aati hai aur nail tips aur beds k drmyan contrast kam ho jata hai. Akhir mein top coat laga kar apny manicure ko seal karein aur chamak badhayein. Phr is coat ko dry hony den. Top coat chipping ko rokne mein bhi madad karta hai aur aapke manicure ko long-lasting bnata hai.
Ab classic french mani ke top coat k liye apni mrzi ka color select kr skty hain jesy k transparent, nude ya phr sheer pink shade. Zyada tr log nude shade ko prefer krty hain jo k natural look deta hai aur nails ko beautiful dikhata hai.
Kinaaro Ko Saaf Kar Lain
Jesy hi top coat achi tarhaa dry jo jay, nails ko analyse krain or kisi bareek c extra layer ko bhi ignore mat krain. Nail polish lagany k duraan hlki phulki mistakes hona common hai, magar khayal rhy k freshly painted nails ko foran sy remove na krain is sy nail polish or phailny ka khdsha hai. Nail polish remover ki mdad sy nakhnoo k kinary saaf kra lain.
Manicure Ke Duraan Ke Jany Waali Common Mistakes Or Unka Hal
Manicure krty huye kuch common mistakes ho sakti hain jo aapke nails ki health aur manicure ke result ko affect kar sakti hain. Yahan kuch common mistakes aur unke hal diye gaye hain:
Nails ko over-file krna: Ye aik common mistake hai jo k ap k manicure k results ko affect kr skti hai. Isse nails kamzor ho saktay hain aur zyada tootny lag jaty hain. Over-filing se nail ki natural shape bhi bigad sakti hai.
Is mistake ko avoid krny k liye nails ko thoda-thoda kar ke halky hathon k sath file karein aur file ko aik hi direction main chlayen. Aur file krny kay bad moisturizer lgayen.
Cuticles ko zyada trim krna: Cuticle ko zyada trim karne se skin mein infections or dehydration ho skti hai. Is say bachny k liye cuticle ko thoda trim karein aur uske baad moisturize krain. Isse cuticle ko hydration milegi aur yeh healthy rahegay.
Nail polish ki quantity: Agar zyada polish lagaaya jaaye to wo unevenly set ho sakta hai, jisse nail ki beauty kam ho jati hai. Dusri taraf, kam polish lagaane se coverage kam ho sakta hai.
Is aam say msly sy bachny k liye zroori hai k sb sy pehly base coat lgaye aur phr nail paint ki light c layer lga lain or dry hon den.
Tools ko wash na krna: Manicure tools ko saaf na karne se bacteria aur fungus phail sakta hai, jo ki skin infections ka sabab ban saktay hain.
Conclusion
Is blog posts main hum ny zikaar kea hai k kesy hum ghr py hi french manicure ka maza lay skty hain bghair kisi nail salon k extra khrchy k. French manicures aj kal bohat trending main hai jo k na siraf nails ki khoobsurati ko brhaaty hain blky in ko infections sy bhi bchaty hain. Opar bayan keay gay easy DIY french manicure steps ko dehan main rkhty hovy ap easily ghr py expensive aur luxury treatment ka lutaf otha skty hain. Is trhaa ki or helpful remedies k leay visit krain hmari website, totkay.com.