Joron Ka Dard Khatam Karne Ka Nuskha


Aurat ki adhi zindagi to kamar dard aur joron ki takleef mein nikal jati hai. Aap har tarah ka ilaj kar chuki hain to Hakeem Luqman ka yeh ilaj abhi se shuru kardain.
Aurat mein joron ka dard

Aurat mein joron ka dard jawani ke dor se hi shuru hota hai jab unhein mahawari shuru hoti hai ya phir jab un mein koi pareshani ho jaye, waqt par na hon ya blood clotting wagaira. Yeh bazahir to aurat ko chaq-o-choband dikhata hai lekin androni tor par un mein vitamin D aur E ki miqdar khatam hone ka khauf hota hai jo bachon ki pedaish ke baad ya is waqt kamar dard aur androni sehat ki kharabi ki ek wajah ban jata hai.
Aap bhi yakeenan in masail ko jheel kar pareshan ho chuki hain to doctori adwayat ke sath qudrati ghizaen bhi istemaal karein aur Hakeem Luqman ka yeh ghareelu nuskha aap ko kuch arsey mein zara sa faida zaroor dega.
● Ek muthi makhanay, ek muthi badam, ek ek muthi karkay sukhi phal aur ilaychi ke bhannay huye beej ya powder lein aur inko asli ghee mein paka kar golian bana kar rakh lein. Din mein kisi bhi waqt ek khayen, yeh aap ki sehat ke liye bhi faidaymand hai aur vitamin ki kami ko door bhi karta hai.
Vitamin D ko haddiyon ki mazbooti

Vitamin D ko haddiyon ki mazbooti aur in ki sehat ke liye zaroori samjha jata tha lekin haaliya tehqiq se yeh baat saamne aayi hai ke is ki kami haddiyon ke sath dil ke asarat ko bhi buri tarah asar andaz karti hai. Australia mein hone wali aik tehqiq mein dil ki sharyan aur vitamin D ki kami ke darmiyan taluqat ko bohut gehraai se jancha gaya aur genetic saboot dekhte hue ab yeh kaha ja raha hai ke yeh ahem vitamin dil ke amraaz ka sabab ban sakta hai. Mazeed tips aur totko kay lie humari website totkay.com visit krain.

Hi, I’m a dedicated writer at Totkay.com, passionate about sharing practical tips and solutions to make your life easier. Explore my articles for helpful insights and valuable advice. Stay connected for more expert content!