Get Our Exclusive Hair Growth Ebook
1 min 6

Kapron Peh Lage Daagh Mitany Kay Nuskhy

1 min 5
Kapron Peh Lage Daagh Mitany Kay Nuskhy 6

Shayar ne sirf ek chehry ke daagh par khoobsurat geet takhleeq kiya, jis mein classical gayiki aur musiqi ki bandish nay usse maqbuliyat bakhs di. Is se hat kar dekha jaye to hamein aaye din mukhtalif qisamoun ke daaghon se pala parta hai. Kapray naye hon ya purane, agar in par daagh lag jayein to woh achay nahi lagte. Khaas tor par chhote bachon walay gharo mein yeh masla aam hai. Khatoon e khana ab aap parishan na ho. Aj hum aap ko aise hi chand ziddi daaghon ko saaf karne ke desi totkay bata rahe hain.

Tail ya chickeni ke daagh:

Paan wala choona aur safed chalka ka powder hum wazan le kar gaarha paste bana lein. Brush ke saath daagh par mota mota layer kar dein aur sukhnay par dho lein ya tailcum powder, maida ya aata daal kar thori dair kapra rakhay rahne dein.

Thodi der baad doosra kapra ya butter paper isi daagh par rakh kar istari kar lein. Daagh par baraah-e-raast istari se gurez karein warna daagh pakka ho jaayega.

Chai ke daagh:

Chai ke daagh par namak laga kar foran dho lein, magar namak jazib karne ka intezar zaroor karein. Agar ho sake to foran sahaga mila dein aur das minute baad neem garam paani se dho lein.

Pen ki siyahi ke daagh:

Pen ke daagh door karne ke liye us par hair spray karein, phir dho lein.

Mehndi ke daagh:

Paan wale choone ka paste bana kar mehndi ke daagh par lagayein aur jab sookh jaaye to brush se ragar kar dho lein. Agar kapda ka rang na kharab hony ka qadsha ho to lemon aur sirka mein thoda sa paani mila kar daagh par lagayein aur tez dhoop mein kapda rakhain. Daagh mit jaayega.

Paan ke daagh:

Pensariyon ki dukaan se rang kaat le kar us se daagh wali jagah dhone se rang kat sakta hai, magar iski miqdaar mamooli ho to behtar hai aur bohot ehtiyaat ki zarurat hai.

Cosmetics ke daagh:

Aise daagh glycerin se saaf ho sakte hain. Lipstick ke daagh toothpaste milne se saaf ho jaate hain.

Rang ke daagh:

2 min 3
Kapron Peh Lage Daagh Mitany Kay Nuskhy 7

Dahi ki chaach mein rang wala hissa dubo dein. Thodi der baad dho lein ya eggzalik acid se saaf kiya ja sakta hai.

Khulasa

Yeh gharelu totkay mukhtalif ziddi daaghon ka hal pesh karte hain, taake aapki cheezen hamesha saaf-o-shafaaf rahen. Chahe chaye ke daagh ho, pen ki siyahiyon ka samna ho, ya mehndi ka daagh, har daagh ka hal waqt par amal aur sahi ilaj mein chupa hota hai.

Yaad rahe, har kapda mukhtalif hota hai, is liye ehtiyaat aur in totkon ko zahiri hisson par azmaana zaroori hai. In mukhtalif tajaweezon ko apne ghar ke rozmarra ke maslo mein shamil kar sakte hain. Mazeed totko kay lie ap humari website www.totkay.com ko subscribe krain.

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.