GL Auto Show Lahore Entry Form, Sign up Today
Homemade Vitamin C Toner

Homemade Vitamin C Toner

Vitamin C toner ab ghar mein hi banayein aur paiyein aisi zabardast jild jis ka result aapko bhi hairaan kar de. 

Vitamin C hamari sehat se le kar jild tak ke har maslay mein hamare liye itna madadgar hai jis ka andaza hum nahi kar sakte, ye hai hi itna faidamand. 

Homemade Vitamin C Toner

Vitamin C hamare jism mein mojood pani aur khoon ke sath hal hojata hai aur nails, jild aur baalon ki behtareen nasho numa karta hai.

Ye jism mein mojood iron ko jazb karta hai aur thakaawat, kamzori ke ehsas door karne ke sath sath jild ke khuliyon aur khoon ki sharaano ki hifazat mein madad karta hai. 

Aur agar baat jild ke hawale se ki jaaye to jild ko roshan, khubsurat aur chamakdar banane mein is vitamin ka koi saani nahi. 

Is ka khaas toner ghar mein banane ka tareeqa bohat hi aasan hai jis ko jan’ne ke baad umeed hai ke aap bhi bazaar ki chemical shuda toners mein apne paise barbad nahi karein gi.

Homemade Vitamin C banany ka tarika

Homemade Vitamin C banany ka tarika
  • Do glass pani lein aur us ko achhi tarah ubal lein. 
  • Phir us mein green tea ya sabz chai ka ek chamach daal dein aur halki anch par teen se paanch minute tak paka kar josh de lein. 
  • Ab us ko neem thanda karein aur vitamin C ka powder daal kar achhi tarah mix kar lein. 
  • Is mixture mein chamach baar baar chalati jayein ta ke koi gathli na bane.

Lijiye tayar hai aap ka faidamand vitamin C ka aisa toner jo aap ki jild par kisi bhi qisam ke danon, dagh dabon, chhaiyon, fine lines aur mail ko bahar nikalne mein aap ki madad karta hai, aur agar isi toner ko aap wax ke baad chehre par lagayen to ye soothing effect ka kam karta hai aur jild ko thanda rakhne mein sab se sasta aur khaas raaz hai.

Mazeed totko kay lie humari website www.tokay.com ko visit krain.

Leave a Reply

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.