Get Our Exclusive Hair Growth Ebook
Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka

Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka

1 min 16
Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka 12

Baaloon ki khoobsurti aur sehat ka khayal rakhna har shakhs ki khwahish hoti hai. Baalon ka khayal rakhna bohot zaroori hai, aur yeh hamain khoobsurat aur khud aitmad banaye rakhne mein madad karta hai. Baalon ki dekh bhaal aur unhein sehatmand rakhne ke liye mukhtalif tareeqay istemaal hote hain. Is mein se aik mashhoor aur moassar totka hai jismein Roghan-e-Badam aur Anday ki Zardi ka istemaal hota hai. Is totkay ki bohat si khasoosiyat hain jo baalon ko silky aur khoobsurat banati hain.

Ajza ka tafseeli jaiza:

Badam Ka Tail:

Badam Ka Tail
Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka 13

Badam ka tail, badam ki giryon se hasil hota hai, aur sadiyon se khoobsurati ke ilaj mein istimal hota hai hai. Is main vitamin, maadniyat, aur fatty acids ki bharamar hoti hai jo balon ki dekh bhaal ke liye nahayat mafeed hai. Badam ka tail scalp ko khoraak faraham karne, balon ki jaron ko mazboot karne, aur ek qudrati chamak shamil karne ke liye mashhoor hai. 

Anday Ki Zardi:

Anday ki zardi, anday ka protein bhara hissa hai, jo balon ko mulaim banane ke liye ma’roof hai. Is mein proteins, vitamins, aur biotin hota hai jo il kar balon ki growth, tootay hue balon ki muramat aur baalon ko poori tarha behtar bnatay hain.

Bnanay ka tareeka:

Is qudrati ilaj ko faidamand banane ke liye is ko sahi se tayar krna aur baalon par ache se apply krna bohat zaroori hai. Neechay di gayi hadayat ki madad se aap asaani se is totkay ke matwaqqa nataij hasil kar saktay hain.

1. Ek saaf bowl le kar anday ki zardi alag karein, yeh khayal rkhain ke is mai koi anday ka safedi na ho. Is mein ek chammach badam ka tail shamil karein.

2. Anday ki zardi aur badam ka tail ka mixture banate waqt achi tarah mila lein. Isko achay se mix krna is liye zaroori hai kyun ke is tarha iske asarat zyada se zyada ho jatay hain.

3. Mixture ko balon ki jarron mein halkay halkay massage karein. Yeh massage ka amal khoon ki gardish ko barhata hai, aur is se baaalon ki growth mai bhi azafa hota hai. 

4. Mixture ko baalon ki jarron mai massage krne k baad isse ahista ahista baalon k lambai main bhi apply krain. Mixture ko achay se baalon mai laganay ke baad ise 15-20 minute ke liye chor dein. 

5. Phir balon ko thande paani se dhoen. Baalon se mixture ke ajza ko door karne ke liye mild shampoo ka istemal karein. Is se baalon se mixture poori trha nikal jaega. 

Behtar nataij ke liye zaroori nakat:

Behtar nataij ke liye zaroori nakat
Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka 14

1. Agar aap ke bal khushk hain toh, mixture mein ek chaye ka chamach zaitoon ka tail shamil karein. Zaitoon ka tail balon ko extra nami faraham krne madad deta hai.

2. Badam ka tail ko mixture banane se pehle ise halka garam karne ko mad-e-nazar rakhein. Yeh tail ke asraat ko barhata hai aur laagu karne ke doran iske massage se khoon ki gardish mai bhi azafa hota hai.

3. Is mixture ko haftay mia zyada dafa baalon pr lagana zaroori nhi. Is ko sirf haftay mai aik baar istimal krna hi kaaafi hai.

Badam Ka Tail aur Anday Ki Zardi Ke mixture ke Faide: 

Badam Ka Tail aur Anday Ki Zardi Ke mixture ke Faide
Lehrate Silky Baal Ka Raaz: Roghan-e-Badam Aur Anday Ki Zardi Ke Saath behtreen Totka 15

Balo Ko Mazboot Banata Hai:

Anday ki zardi mein mojood protein aur badam ke tail mein mojood ghizaai anasir mil kar balo ko mazboot banate hain, breakage aur split ends ko kam karte hain.

Chamak Lata Hai:

Badam Ka Tail aur Anday Ki Zardi Ke mixture ke Faide

Is mixture ko baqaida istemaal karne se balon mein khud-bakhud ek qudrati chamak aati hai, jis se bal sehatmand aur tazgi bharay nazar aate hain. 

Balo Ki Taqat Barhata Hai:

Anday ki zardi mein mojood biotin aur badam ke tail mein mojood maadniyat mil kar balon ke follicles ko taqat dene mein madad kartay hain.

Scalp Ko Khoraak Faraham Karta Hai:

Apply karne ke doran hone wale massage se na sirf mixture baalon mai achay se jazab ho jata hai balke scalp ko bhi mazboot karne mein madad faraham krta hai, jo ke scalp ki sehat ke liye mafeed hai.

Nateeja:

Badam ka tail aur anday ki zardi ka mixture, apnay ghizaai ajzaaon ke saath, balon ki dekh bhaal ke liye aik zabardast tareeqa hai. Is asaan lekin mafeed totkay ko apni routine mein shaamil karke, aap sehatmand, mazboot baal hasil kr saktay hain. Yaad rakhein, istiqamat ahem hai, aur sabr ke saath, aap jald hi apne balon par qudrati ajzaon ki jadoo’i asarat dekhein ge.

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.