Hath paon kale ho gaye hain? Janiye Doctor Shaista ne haathon ki siyah rangat ko door karne ka kaun sa tareeqa bata dia. Aksar khawateen apne haathon ki gehri rangat aur daagh dhabon ke hawale se kaafi pareshan nazar aati hain. Is article mein hum khawateen ke haathon ki rangat behtar banane ke liye chand tips batayenge jo Doctor Shaista Wahidi ne apni video mein share kiye.
Hath Paon Ki Rangat Saaf (Table of Contents)
Chehre aur haathon ka rang alag hota hai
Doctor Shaista ne bataya ke qudrati tor par haath paon aur chehre ki rangat mein farq hota hai, aur is mamooli se farq ko itna serious nahi lena chahiye. Lekin agar zyada farq mehsoos ho raha hai to is ki kai wajahat hosakti hain, jaise ke haath ko sahi se moisturize na karna ya sunblock nahi lagana. Is ke alawa, aksar khawateen hair removing creams ko haathon aur tangon ke baal saaf karne par istemal karti hain jiski wajah se haath pair kale par jate hain, yahan tak ke wax se bhi haathon aur tangon ki rangat par asar parta hai.
Kohniyon aur ghutnon ka rang siyah kyun ho jata hai?
Is ke bare mein baat karte hue Doctor Shaista ne bataya ke ek makhsoos rukh par bethne ki wajah se pairon ke side par kala nishaan ban jata hai, ya aksar aisa bhi hota hai ke jo lotion ya cream hum lagate hain us mein koi cheez humein nuksan pahuncha rahi hoti hai. Lekin tamam ghar walay ek hi cheez ko istemal karne lagte hain jiski wajah se reaction hota hai aur kohniyon, haath ki ungliyon ka rang gehra ho jata hai. Aksar eczema mein bhi rangat ka masla hota hai jo thora sa ilaj se theek ho jata hai.
Siyah rangat ko behtar banane ka tareeqa
- Haath pair par sunblock lagayein. Khaas tor par bawarchi khane mein kaam karne se thodi der pehle sunblock lagakar haath khushk karlein.
- Haath ko dhone ke liye face wash istemal karein. Tangon aur bazuon ke baal khatam karne ke liye razor aur wax ka zyada istemal na karein.
- Petroleum jelly se rangat kali parne lagti hai, is ke bajaye moisturizing lotion istemal karein.
- Baal saaf karne wali cream ko haath paon par istemal na karein, ye rangat ko tan karne ka bara sabab hai.”