Khoobsurtii woh zevar hai jo aurat ko qudrat ka ata kiya sab se qeemti tohfa hai. Lekin yeh haqeeqat hai ke aap jitni bhi gori, haseen, purkashish aur shafaaf jild ki malik hon agar aap ki aankhon ke ird gird gehraye halqay hain to sara husn pheeka par jata hai. Balkay, aankhon ki chamak bhi maand par jati hai aur chehra thaka hua mehsoos hota hai, yun lagta hai jaise aap barson ke bemar hain.
Aankhon ke ird gird gehraye halqay aur soojan ka masla murothi hota hai. Har haal mein in se niptne ke liye khawateen laakhon rupay kharch kar ke beauty treatments karwati hain. Is tarah yeh masla aarzi tor par to hal ho jata hai lekin mustaqil nahi. Albatta natural remedies say ilaaj intehai kam kharch hai in se halqay kam kiye ja sakte hain. Aiye kuch azmooda totkon kay barey mein jantay hein.
Aankhon Ke Siyah Halqe Door Karen (Table of Contents)
Ankhon kay syah halkay door krnay k tareeqay:
- Sab se pehle apni neend ka khiyal rakhein, rozana 8 ghante ki neend mukammal karein.
- Khaas kar, maamool se zyada sone se bhi aankhon ke ird gird thakan ke asar numaya ho jate hain.
- Kheere ke mote mote tukdon ko kaat kar adhay ghante ke liye fridge mein rakh dein aur 10 minute tak aankhon par rakhain. Aap chahein to kheere ka paste bhi laga sakti hain.
- Thande doodh mein rui bhigo kar aankhon par is tarah rakhain ke mutasir hissa achhi tarah cover ho jaye, phir 15 minute baad aankhein sada pani se dho lein.
- Yeh amal rozana dharain.
- Garam pani mein 2 tea bags chand minute ke liye bhigoain aur phir fridge mein rakh dain. Iske baad 5 minute ke liye unhein aankhon par rakhain. Yeh amal bhi rozana dharain.
- Nariyal aur badam ka tail baham mila kar aankhon ke ird gird 5 se 10 minute tak halka halka massage karain. Yeh amal bhi rozana dharain.
- Leemo ke taza ras se aankhon ke ird gird massage karain ya is mein rui bhigo kar band aankhon par unhein 2 se 3 hafton tak rozana lagate rahain.
- Aaloo mein qudrati bleaching ajza paye jate hain jin se jild ki rangat halki ho kar nikhr jati hai. Is liye ek ya do kachay aaloo nikal lain aur rui ko is mein dubo kar band aankhon par 10 se 15 minute ke liye rakhain aur phir aankhein thande pani se dho kar saaf kar lain. Yeh amal din mein 2 martaba rozana dharain.
- Dahi aur besan ko ek saath grind karke mask bana lain aur aankhon ke neeche mutasir hisson par ye mask 10 minute tak khushk hone dain phir thande pani se dho kar saaf kar lain. Yeh mask haftay mein 3 martaba istemal karain.
Agar ap apni eyesigt ko improve krna chatay hein to yh blog prhain. Hmei umeed hy kay ab ap ankhon kay halkay ka ilaj ghar pr ba asani kr sktay hein.
Hi, I’m a dedicated writer at Totkay.com, passionate about sharing practical tips and solutions to make your life easier. Explore my articles for helpful insights and valuable advice. Stay connected for more expert content!