Get Our Exclusive Hair Growth Ebook
Bachon ki khansi ka assan ilaj

Bachon ki khansi ka assan ilaj

Badaltay mausam ka sab se zyada asar bachon par hota hai kyun ke un ka mudaafi nazam kamzor hota hai jis ki wajah se woh nazla, khaansi, aur bukhar jaise bimaariyon ka shikaar ho jaate hain.

Bachon ki khansi ka assan ilaj
Bachon ki khansi ka assan ilaj 8

Bachon ko hone wale viral flu aur fever to phir bhi theek ho jaate hain lekin khaansi jaldi peecha nahi chhodti jis ki wajah se bacha bechain rehta hai aur khaanstay khaanstay seenay mein dard beth jaata hai.

Aise mein Zubaida Apa ne ek bohat hi zabardast nuskha bataya tha, jo bachon ki khaansi theek karne mein aap ki madad kar sakta hai, to aaiye jaante hain. Lekin us say pehlay hm who wajoohat janain gay jo bachon mein khansi ka sabab bnti hein.

Table of Contents (Bachon ki khansi ka assan ilaj)

Bachon mein khansi ki waja kya hy?

Bachon ki khansi ka assan ilaj
Bachon ki khansi ka assan ilaj 9

Bachon mein khaansi ka sab se aam sabab aksar zarurat se zyada mausam mein tabdeeli, sardi, ya viral infections hote hain. Bachon ka nazam, jise immune system kehte hain, kamzor hota hai, jiski wajah se woh thandak ya infection ke asar ko kamzor tor par rok pate hain. Iske alawa, bachon mein tez mausam mein honay walay tabdiliyon se aksar aam tor par khaansi ka shuru hona bhi aam hai. Thandi hawa se bachon ke jism mein nami ka kamzor hona bhi ek khaansi ka sabab ho sakta hai. Is liye, bachon ki hifazati tadabeer, maslan garam kapde pehnana aur mausam ke mutabiq rakhna, in maamlat mein madadgar sabit ho sakti hai.

Bachon ki khaansi door karne ka nuskha:

Bachon ki khaansi door karne ka nuskha
Bachon ki khansi ka assan ilaj 10

Ek bartan mein 1 cup sarson ka tail, 4 joay lehsun ke (chilke samet), thori si haldi aur kuch dane ajwain ke shamil karke use itna pakaiye ke lehsun kaala ho jaaye, phir use chaan kar thanda kar lein aur rozana raat ko bachay ke seenay aur peshlauon par laga kar maalish karein, maalish karne ke baad banyan pehna dein.

Ek baat ka khayal lazmi rakhein ke tail lagane ke baad bachay ko seedha AC ya pankhay ke neeche mat sulayein.

Iske alawa rozana raat mein bachay ke tilaawat par Vicks lagane se bhi araam aaye ga aur khaansi theek hone mein madad milegi.

Leave a Reply

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.