Get Our Exclusive Hair Growth Ebook
Auladi Ke Masail Aur Un Ka Ilaj

Khwateen Mein Be Auladi Ke Masail Aur Un Ka Ilaj

Auladi Ke Masail
Khwateen Mein Be Auladi Ke Masail Aur Un Ka Ilaj 6

Shadi shuda joroun ki awwalin pasand aulad ki khwahish hoti hai aur yeh zaroori bhi hai. Har mard apni nasl ke baare mein sochta hai wahi aurat bhi fitri tor par mama ke jazbaat se bharri makhlooq hai jo zahir kare ya na kare use bachon ki khwahish aik khaas umr se hoti hai jo waqt ke saath barhti jaati hai. 

Lekin baaz oqat jismani aur sehat ke masail ki wajah se aulad ka husool qadre mushkil ho jaata hai. Kahin mardon mein kami to kahin khawateen ke jismani masail un ke maan banne ke amal mein mushkilat peda karte hain.

Agar koi doosri badi bimari nahin hoti to aik bara masla khawateen mein andon ka na banna ya un ka size kam hona bhi hamal thernay mein aik bari mushkil hai. 

Doctor Balqees ne bataya is masle ka hal andon ke chilkon se woh bhi bohot asaan totka jis ke liye aap ko kahin bahar bhi na jana pare aur na mehnga samaan khareedna pare ga.

Khawateen mein eggs ka size chota hone ke masle ka desi totka

Khwateen Mein Be Auladi Ke Masail Aur Un Ka Ilaj

Ajza

  • 6 se 8 anday ke chilke
  • 2 chammach shehed

Tareeqa

  • Anday ke chilkon ko dhoo kar sukha lein.
  • Ab chilkon ko ek saaf kapray mein lapet kar, dhoop mein rakh kar kuch ghante tak khushk hone dein.
  • Jab chilkay poori tarah khushk ho jaayein, unhein ek blender mein daal kar barik powder bana lein.
  • Ab is powder mein shehed daal kar achhi tarah mix kar lein takay paste ban jaye.

Istemaal ka tareeqa:

  • Is totkay ka istemal rozana subah khali pait karein.
  • Ek chammach is paste ko munh mein rakhein aur dheere se chaba kar khayein.
  • Paste ko 10 se 15 minute tak munh mein rakhein taake asar zyada ho.

Faida

Is totkay ka regular istemal karne se andon ka size barta hai aur hamal therna asaan ho jata hai. Iska istemal taqatwar bachon ki paidaish mein bhi madadgar sabit hota hai. Magar yaad rahe ke is totkay ka faida hasil karne ke liye istemal ko mustaqil aur baqaidgi se karein. Agar kisi ko koi allergy ya kisi aur masla ho to foran doctor ya hakeem se rabta karein.

Mazeed totko kay lie humari website www.totkay.com visit krain.

Totkay is basically a word in Hindi and Urdu, which means natural home ready. In our culture Hakims (‘wise man, physician’) used to mix herbs together to create natural medicine to cure thier patients.

Many of this wisdom still exists, and I strive to collect it and share it here on this blog.