How to Warm House in Winter

How to Warm House in Winter

Aj kal sardiyon ka aghaz hone wala hai aur bohat say log shadeed sardii mein gharon ka thanda hone ki wajah se pareshaan rehte hain aur bahut si bemariyan jaise ke khaansi, bukhar aur joron ke dard ka shikaar ho jate hain. Iske ilawa bhi sardiyon mein gharon ko warm rakhna sehat ke liye zaroori hai.

Is blog mein hum discuss karain ge ke kin wajoohat ki wajah se ghar warm nahi balki thanday rehte hain, aur behtareen tadabeer jo apply karke warm house aur cozy environment ka lutf utha sakte hain apne favorite mosam mein bina kisi mushkil ke. To chalen start karte hain!

Common Ways of Heat Escape

Srdion main sab sy bra masla ghron ka thnda rhna hai, aksar dekha gaya hai k bohat sari koshisho k bad bhi hmary ghar thndy hi rhty hain. Is masly ki aham wja ho skti hain ghron sy heat ka zaya hona ya nikal jana. Is k leay sab sy phly to ye dekhna pry ga k heat kahan sy nikal rhi hai or cool air ghr k andar kahan sy daahil ho rhi hai.

Common Ways of Heat Escape
How to Warm House in Winter 10

Dar zail kuch aham jghain hain jahan sy heat loss k chances zayada hain unko properly cover kr k heat ko ghar k andar save kea ja skta hai.

  • Broken windows, doors, ya khulay huay air ducts
  • Khulay chimneys ya aag jalany ki jagah (fireplace)
  • Toote huay electrical switches, diwaar ke cracks, ya purani wiring

In jagho or spaces ko khaas tor pt check kr k close kain or warmth feel enjoy krain. Khalia tahqeq k mutabiq sir khirkeanon sy hi 30% heating loss hoti hai.

Adjust Windows and Door: Tooti Khirkean or Darwazy Murammat Krain

Warm House in Winter
How to Warm House in Winter 11

Sardion mein darwazay aur tooti khirkiyan garmi ke zaya hone ki wazeh nishani hain. Inhein theek karke garmi ko bachaya ja sakta hai. Bohat se technicians yeh service dete hain. Agar aap maharat rakhte hain, to yeh kaam khud kar ke waqt aur paisa dono bacha sakte hain.

Khirkiyon aur darwazon ko band karne ke liye chand tareeqay yeh hain:

  • Window Insulation Plastic Film: Yeh film suraj ki roshni ko ghar mein capture karti hai aur garmi ko bahar nikalne se rokti hai.
  • Weatherstripping: Darwazon aur khirkiyon ke kinaron par weatherstripping lagane se hawa ke raste band ho jate hain.

Silicon Caulks: Khirkiyon aur frames ki dararon (gaps) ko band karne ke liye silicon caulk istemal karein.

Use Heavy Rugs

Shdeed sardion main heavy rugs ka istimaal krna bohat faedymand hai ye na siraf khoobsurati main izafa krty hain blky insulation jesa k warm air trap krna, heating system or fireplaces sy heat ko high amount main absob krna warmth and comfort feeling provide krty hain.

Doorstep area py rugs k use sy ye cool air ko ghr k andr any sy rokty hain or aksr ghro ki thndi titles ka temperatue bhi maintain krty hain, so buy rugs now. 

Agr apk ghr ka farsh uninulated hai to 10-15% heat loos hony k khtra hai or thndy farash homelessness ka ahsaas dilaty hain jo el homeless insan hi samajh skta hai.

Proper Attic Insulation

Proper Attic Insulation
How to Warm House in Winter 12

Attic ya loft ki proper insulation bhi bohat zroori hai to warm house or energy bills ko km krny main. Attic ki proper insulation na hona clear sign hai hai heat loss or energy consumption ka. Iski proper insulation k leay expert staff sy contact krain, magar us sy phly unki website py inki service review ko check krna bohat helpful hai.

Efficient Heating System

Jaise hi mahol ka temperature kam hota hai, effective heating system zyada zaroori ho jata hai. Sahi heating system sardion mein garmi ka ehsas deta hai. Is se bijli ke bill mein bhi kami aati hai.

Efficient Heating System
How to Warm House in Winter 13

Sardian shuru hote hi apne ghar ke heating system ki mukammal jaanch karwa lein. Is mein shamil hain:

  • Heat pumps
  • Gas furnace
  • Thermostats (adjustments)
  • Boilers
  • Vents
  • Ductwork
  • Insulation

Filters Expert technicians se in sab ki maintenance karwa lein ta k apki sardean sukoon sy guzar jayn.

Install Heavy Curtains to Warm House

Windows py heavy curtains lgany sy bhi ghar k temperature py bohat acha or positive asar prta hai ye noise ko absorb krny k sath sath warm feeing bhi detay hain. Curtains ki kae types or fabrics hain jo k ap apnu need or pasand k lihaz sy choose kr skrt hain. 

Heavy Curtains to Warm House
How to Warm House in Winter 14

Dark-colored velvet curtains classy look deny k elawa rooms ko warm rkhain hain, Blackout pardy roshni or sardi ko block krty hain, ye zayada tr bedrooms k leay perfect hain.

Insulation Maintenance

Proper insulation shadeed mahol mein gharon ko rehne ke qabil banane ke liye lazmi hai. Iske baghair sardi mein survive karna mushkil ho sakta hai. Andaruni temperature ko maintain karne ke liye mukhtalif qism ki insulation ki jati hai:

Insulation Maintenance
How to Warm House in Winter 15
  • Spray foam insulation
  • Reflective insulation
  • Cellulose insulation
  • Fiberglass insulation
  • Radiant barrier insulation

Insulation ke faide:

  • Garmi ke zaya hone ko kam karti hai.
  • Andaruni temperature ko control karti hai.
  • Nami aur mold ko kam karti hai.
  • Deewaron par kai (algae) lagne se bachati hai.
  • Dust particles ko kamron mein dakhil hone se rokti hai, jis se hawa ki quality behtar hoti hai.

Fire-resistant Properties: Kuch insulation types (jesa ke fiberglass) aag lagne ki soorat mein aag ko phailne se rokte hain.”

Aham Ahtyati Tadabeer and Bonus Tips

Yahan hum kuch aham ahtyati tadabeer or additional tips btayn gn jo apk ghr ka temperature maintain krny main bohat helpful hon gi.

Bonus Tips
How to Warm House in Winter 16
  • Srdian shuru hony sy phy hi apny heating or insulation system achy sy check ka lain ta k koi fault ya issues phly hi found ho jay.
  • Ghair istimaal shuda kmro k drwazy or vents band rkahin to retain maximum heat.
  • Furniture ya esi koi decorative cheez jo k vent airflow main disturbance ka baes ban rhi hai, wahan sy hta dain.
  • Din k waat khirkion sy pardy hta k suraj ki roshni or tapish rooms k andr any dain.
  • Open kitchen main meals pkayn ta kahan pkny ki heat bhi ghr k andr trap rhy.
  • Zyada behtr heating system k leay smart thermostats ka istimal krain, or warm air ko chaaro taraf philany k leay ceiling fan use krain.
  • Sardi sy bchao k leay garm kapry pehnain or shdeed sardi main ghr k andr hi rhain, fireplace k pas bth k coffee k sath apna favorite novel enjoy krain.
  • Green tea or dry fruits ka istimaal zayada krain ye jisam ko naturally garam rkhty hain.

Conclusion

Srdion main warm house rkhny or thnd sy bchany k leay is blog main kuch aham tairky btay gayn hain jinki istimaal kr k ao apny kron ko wam or cozy feel provide kr skty hain. in triko main darwazy khirkion ki murammat, rugs ka istimal, attic insulation, effective heating system, home insulation, heavy curtains ka use, or kuch bonus tips btae gae hain jo apko ghr ko warm krny leay kaafi hain.

Is trhaa ki or mufeed tips or maloomat k leay ap hmari website www.totky.com py visit kr skty hain or boahr sari natural remedies and tips ko prh k apni,life or zayada behtar or asan bna skty hain.

Frequently Asked Questions

Sardion mein apna ghar garam kaise rakhen?

Sardion mein ghar garam rakhne ke liye insulation behtar banayen, jaise khirki darwaze theek karein aur heavy parde lagayen. Heating system ki maintenance karwayen. Kitchen mein khana pakanay se bhi ghar mein garmi rehti hai.

Heater ke baghair ghar ko garam kaise karein?

Heater ke baghair ghar garam karne ke liye din mein dhoop ko andar aane dein. Heavy rugs istemal karein taa ke farsh se thand na aaye. Ghair istemal shuda kamron ke darwazay band rakhne se bhi garmi mehfooz rehti hai.

Ghar ko kam kharch mein garam kaise karein?

Kam kharch mein ghar garam karne ke liye dararon ko silicon caulk se band karein aur weatherstripping lagayen. Raat ko heavy parday dal dein. Smart thermostats aur ceiling fans ka istemal bijli bachane mein madad karta hai.

Sardion mein ghar ke garam kamre ko kaise theek karein?

Agar koi kamra zyada garam hai, to uske vents ko adjust karein ya band kar dein. Din mein suraj ki garmi ko control karein. Raat ko wahan ke parday khol dein taa ke hawa ka bahao behtar ho.

Attic insulation ghar ko kaise garam rakhti hai?

Attic insulation ghar ki chat se garmi ke zaya hone ko rokti hai. Yeh andaruni temperature ko mustaqil rakhti hai aur energy bills kam karne mein madad karti hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *