Kya ap bhi ghar main insects ki afzaesh sy bohat preshan hain? Ap ny kai bar chemical-based insecticides use kiye hain lekin un sy koi fraq nhi prha. Ulta aisy sprays sy environment khrab hota hai or skin bhi affect ho jati. Is ke elawa jb ye insects kitchens main grow krty hain to khany peeny ki cheezon main shamil ho ke kai trah ke health problems bnaty hain.
Agr ap in masalon sy preshan hain to ye article ap ke leay bohat mufeed hai. Is mein ham ap ko ghr mein insect killer bnanay ke behtreen totkay batayenge jo natural aur safe hain.
Table of Contents
Ghrailo Keeray Makooron Ke Iqsaam
Ghar ke andar or home garden main kae iqsaam ke insets pay jaty hain, jo k na siraf gandagi ka baes bnty hain balky bohat sari bemaareo ki main wja bhi hain. Maslan, machar ke kaatny say malaria aur dengue ka khatra hai. Yahan hum ghar main pay jaany waly aam crawling insects jesa ke colorado potato beetle, inki afzaesh ki jghain, aur insy hony wali beemareo ka zikar krain gain.
Ants: Ye zayada tar khuraak ki tlash main hoti hain or kitchen ke irad girad pai jaati hain. Ye wesy to kisi qisam ka nuqsaan nhi phnxgati magar furniture ko deemak ki trhaan chat kati hain. Inhain carpenter ants ya fire ants bhi kha jata hai.
Makrean: Makrean ya spider mites bhi ghar main aam dekhy jaty hain. Ye insaan ki sehat ke leay harmless hain balky ye kaafi eco-friendly bhi hain, jesy ke silk production main aham kirdar ada krry hain. Bohat sary logo ko spider mites phobia hota.
Khatmal: Bed bugs ya khatmal kha jata hai, aam tor py beds ke nechy, mattress ke andar pay jaty hain. Ye skin main irritation or allergic reaction ka sabab banty hain.
Cockroache (Laal Baig): Laal baig kitchen aur bathroom main aam dekhy jaty hain, inhaib moist and cool mahool pasand hota hai. Insy fori chutkary ke leay sirky ka insecticide istimaal krain.
Makhean: Ye apni fazool c awaz ki wja say har kisi ki na pasandeeda hain, zayada tar khany peny ki cheezoaur galli sarri sabzeio ke opar pai jati hain. Ye haizay ka sbab banti hain.
Kankhajoora: Ye aam tor pay tareek jagho jesa ke garage aur basement main rehna pasand karta hai. Ye zayada harmful ya disease-causing nhi hai magar iske kaatny say kaafi dard mehmoos hota hai.
Box Elder Bugs: Ye tarkhton air windowsills main dekha jata hai, furniture ko katny ki wja sy ye nuqsaan phnchany ka baes banta hai. Skin irritation ka sbab hai.
Neem aur Lemon ka Spray
Gharon mein insects ya plant bugs ki growth ko roknay ke liye chemical ka zyada istemal insaani sehat or mahol ke liye muqsan dy ho skta hai. Is ms’aly ko hal krny ke liye gudarti ajzaa ka istimal jesy ke neem aur lemon, bohat mufeed sabit ho skty hain.
- Neem ke patton mein azadirachtin naam ka ek chemical hota hai jo keeron k reproductive system ko affect kr ke inki afzaaesh kam karta hai.
- Lemon ka rass mein citric acid hota hai jo keeron ko repel aur marne mein madad karta hai.
Is ko bnany ke leay aik cup neem ke pattay, 1 cup lemon juice, 1 cup paani aur soap (optional).
Neem ke patton ko aik blender main achy sy blend kr lain, is main lemon ka rass milaeyn aur paani ko add kr ke achy sy mix kr lain. Phr is ko aik spray bottle main daal lain.
Is solution ko ghar ke hr kone aur wall cracks main spray kren khas tor py jahan keery zyada palty hon. Is spray ko week mein 2-3 baar istemal kren. Lekin isko bachon ki pohanch sy door rkhen aur skin or eyes py na lgayen.
Lahsan aur Paani ka Insect Repellent
Lahsan aur Paani ka solution keeron jesa ke forest tent caterpillar wghera ko control karne ka aik natural aur effective tarika hai. Yeh mixture insects population ko reduce karta hai aur ghar ko clean aur fresh rakhta hai.
Lahsan mein sulfur compounds hote hain jo keeron ko marne mein madad karte hain. Is ke elawa garlic ki smell kafi pungent hoti hai jo ke insects ko kill krny ya phr repel krny mein aham kidaar ada krti hai. Is sy ghr ya garden sy insect infestation kam ho jati hai.
Is spray ko bnany ke liye 2 poory lahsan bulb ( jaway nhi lainy), 1-liter paani, aur 1 tbs soap (optional). Garlic ko blender mein achy sy crush kr ke aik paste bna lain phr is main paani milayein aur achhi tarah se mix kar lein.
Phr is paste ko overnight ke liye rakh den. Then aik jar mein isko strain kr lain aur soap ya vegetable oil add kr ke spray bottle mein fill kr lain.
Is spray ko ap ghr ke hr kony mein window frames, aur drwazon py bhi lga skty hain jahan aksar keeray apna ghr bna laity hain. Effective results ke liye Is ko hafaty mein 2-3 times istemal kren. Ye spray fruit trees aur ornamental trees py bhi istimaal ho skti hain, scale insects ko kill krny ke leay.
Sirkay Aur Saabun Ka Insecticide
Vinegar na sifr khanon aur prickles mein use hota hai balky is mein box elder bugs repellent khasoosiyat bhi hain. Apple cider aur white vinegar, dono cheeyontion, flea beetle, elm leaf beetles, machron, bed bugs, phal makhiyan, aur makkrhi ko maarny or bhagaany mein aham kirdaar ada krty hain.
Isko bnany ke leay zroori saman:
- 1 cup sirka
- 1 tablespoon saabun
- 3-4 cups paani
- Spray bottle
Aik jar mein sirka aur paani add kren phr is mein ap aik tbs spoon dishwashing soap milayen ta ke solution achy sy attach ho sky. Is mixture ko achy sy shake kr ke aik spray bottle mein add kr lain. Is solution ko affected areas main 2-3 times in a week spray kren.
- Sirkay main majood acetic acid garden pests ko control krta hai. Lekin agr keeron ke anday hon to unko khtm krny ke leay kuch time tk contact hona zroori hai ta ke eggs ko completely kill kiya ja skay.
- Is k elawa agr ap white ninegar istemal kr rhy hain to is ka faida ye hoga k iski aik strong smell hai jo ke insects ko repel krta hai.
- Soap keeron ke exoskeleton ko torr deta hai jis sy insect ki dehydration ho jati hai jo ke akhir kar keeron mar jaty hain.
- Is ke elawa saabun sy keeray ke jism par ek film ban jati hai, jis se insect ko hawa nahin milti aur wo suffocation sy mar jata hai.
Daar Cheeni Say Keero Ka Safaya
Agr ghron main chiyoontion ki afzaesh zyada ho gai hai to in sy chutkara paany ke liye cinnamon aik effective solution hai. Yeh tarika keero ki population ko reduce karta hai aur ghar ko clean aur fresh rakhta hai.
Daar cheeni mein boron naam ka aik chemical hota hai jo keero ko marne mein madad karta hai. Yeh tarika khane ki jagahon, bathroom, aur kitchen mein ants control karne mein madad karta hai.
Is ke leay, 2 teaspoon daar cheeni powder ya phr cinnamon stick, 4 cup paani aur aik tablespoon soap ki zroorat hai.
Solution bnany ke leay daar cheeni ko garam paani main overnight bhigho den. Phr isko strainer sy achy sy chaan lain aur agr soap add kr lain. Then isko aik spray bottle mein fill kr lain aur keeron ki jaghon pr spray kren.
- Cinnamon mein boron majood hota hai jo ke keero ki body mein absorb ho jata hai aur unke digestive system ko nuksan pahunchata hai.
- Is ke elawa boron insects ke body mein water loss ko increase karta hai, jis se unki dehydration ho jati hai.
- Daar cheeni keero ki body cells ko nuksan pahunchata hai aur unhe mar deta hai. Isay indoor or outdoor drain systems py bhi istimaal kr skty hain.
Insects sy Bacaho ke leay Soap-Based Spray
Insects se bachne ke liye soap-based spray ek effective aur natural tarika hai jo ghar mein insects population ko control karta hai. Ye aik budget-friendly aur useful remedy hai jo hr koi apny ghr mein use kr skta hai. Ye spray na siraf keeron ko maarny balky unki badbu bhi door karta hai, jis se ghar clean aur fresh rehta hai.
Saabun insects ke body mein absorb ho jata hai aur unke biological processes ko disrupt karta hai
Is asan spray ko bnany ke leay zroori sman:
Soap: Ap is ke leay liquid hand ya phr dish soap bhi use kr skty hain, ya phr castile soap.
Powders, bar soaps, aur detergents ke istemal sy guraiz kren.
Paani: Soft water ka istemal kren. Agr to apka tap water demineralized hai to use kren wrna distilled water ka istemal yaqeeni bnayen.
Paani main majood minerals sabun ko hall sy rokty hain aur is sy soap spray itna effective nhi rehta.
Aik saaf jar ya bowl mein paani add kren aur is mein liquid soap daal den. Phr gently mix krty jayen. Agr ap vigorously mix kren gy to sabus sy jhaag ban jaye gi. Phr is mein neem oil aur sirka bhi add kr lain aur aik spray bottle mn daal lain. Insects aur tarnished plant bug ki jagahon aur drainage systems par spray karein.
Tamatar ke Patto Say Keery Maar Dawa
Ye bhi keeron sy bchao ka aik natural and effective tareeqa hai. Tamatar ke patte aphids, cucumber beetle, harvester ants, aur mites ke liye ek natural dushman hain. In mein paya jane wala alkaloid compound in insects ko marne mein madad karta hai.
- Alkaloid compound insects ke cell membrane ko nuksan pahunchata hai, jis se unki cellular functions ko affect karta hai.
- Ye substance keeron ke growth aur development ko affect karta hai.
- Is ke elawa insects ko eggs dene se rokta hai, jis se unki population kam hoti jati hai.
Is spray ko bnany ke leay large amount mein paani aur 2 cups chop kiye huey tamatar leaves ki zroorat hai.
Aik large bowl mein four cups paani daalen, phr is mein choped leaves add kr lain. Phr bowl ko cover kr overnight ke ley bhigo kr rakh den. Tomato leaves paani mein soak ho kr natural insecticide release kren gy.
Is mixture ko strain kr lain ji sy ap ke pass concentrated solution aa jaye ga. Is mein mazeed water add kr ke dilute kr lain aur isko aik spray bottle mein add kr lain.
Conclusion
Ghron main mukhtalif trah ke keeray makoron sy bchao ke liey iqdamat krna bohat zroori hai. Insect infestation ki wja sy indor gardens tbaah ho jaty hai aur is sy bohat sari bimariyan bhi phailti hain. In sb problems ko madd e nazr rakhty huey ye article likha gya hai. Is main cheap yet effective totkay btaye gaye hain jo ke ap leay bohat mufeed sabit ho skty hain. I stray ke mazeed effective remedies ke liye visit kren, www.totkay.com
Hi, I’m a dedicated writer at Totkay.com, passionate about sharing practical tips and solutions to make your life easier. Explore my articles for helpful insights and valuable advice. Stay connected for more expert content!